Saturday, May 10, 2008
MOTHER(POST-4)
Aap ko maaloom hona chahiye k huzoor ka farmaan allah ka farmaan hota hai yaha tak k woh saans bhi nahi lete jab tak kudrat ki jaanib se ishara naho
Ab farmaan par gaur kijiye k MAA k kadmo se jannat ka ta-aaluk bataya.
Ab sawaal yeh bana k kya har MAA is layak hai k us k kadmo me jannat….?????
Ab yaha deedawar log nazar saani karne lage aur badi jaddo jehed k baad pata chala k huzoor ne apne kaul me baccho k saath MAA ko bhi nasihat ki hai…… jo posheeda hai
Jo khud MAA nahi jaanti hai isiliye hamesha baccho se yeh zarur kehti hai k baccho meri baat maano warna kahi k nahi rahoge kyunke MAA k kadmo se jannat bandhi huee hai
Lekin agar use is baat ka ilm hojaye k jis zimmedaari k saath huzoor ne farmaya hai woh kya mere layak bhi hai to woh saans bhi nahi legi
Kitni ahem zimmedaari hai parwarish karna agar kisi MAA ko pata chaljaye to woh hasna bhool jaaye…..
Kya saari khubiyaa yunhi parwarish karne waale k hawalae kar di gayi
Kya yunhi is sifat ko sooreh fatiha me bayaan kiya gaya
Agar aulaad naa farmaan nikli to kya MAA iski zimmedaar nahi
Agar MAA ko azeem darje par faayiz kiya gaya hai to kya uski zimmedaari choti si hogi
Baccho ko paida karke use khilana pilana uski hifazat karna yeh to ek jaanwar bhi jaanta hai
phir insaan hokar MAA itne par apna daaman kyu sameth leti hai
Illa masha allah
lekin hain agar kam hain jo is mansab par faayiz hain k unhe jannati kaqha jaye
main to zyada tar logo ki baat kar raha hu jinhe dekh kar mujhe aisa mehsoos hota hi nahi k yeh MAA k rutbe par faayiz hain
MAA ko chahiya k woh apne bacche ko apne doodh k saath ilm bhi pilade
Aur bacchpan hi se use ilm e deen sikhaye
Kuch MAA hain jinki aulaad wilaayat k darje par pahonch gayi
Ab hum uspar nazar daalenge aur apne mazmoon ko sameth lenge warna ispar barso guftugu ki jaaye to kam hai.....
Thursday, May 8, 2008
MOTHER(POST 3)
Yaha is jaha me bhi parwarish ka kaam Allah hi kar raha hai lekin zariya bane waaldain.
Sabab waali is duniya me maa baap ko yeh azeem kaam diya gaya lihaza unke darjaat bhi bahot buland hain
Allah quraan me jagah jagah apne zikr o shukr ke saath waaldain ka zikr o shukr kar raha hai. Yeh pehli aayat ka aalam hai to puri sooreh fatiha ki kya baat hogi.
Agar koi namaz padhta hai aur apne waaldain ka shukr nahi karta to woh sab kuch kar raha hai lekin namaaz ada nahi kar raha hai. Uski namaaz uske muh par maar di jayega.
Janab namaaz aap k fayede k liye hai allah tumhara aur tumhari namaaz ka mohtaaj nahi.
Phir chaliye huzoor k kadmo me…..
Huzoor ne jannat ko maa k kadmo k saath kardiya aur walid ko jannat ki chaokhat bataya
Jo inke kadam se duur hua woh jannat se duur hua
Dono bahot bade darje par hote hain itne k agar yeh naaraaz hojayen to aulaad ko kisi karwat aaraam nahi milsakta phir koi peer o mashaikh ki taweez o duaa unhe fayeda nahi pohcha sakti. Aap namaaz o roza ,musalle o miswaak ka zikr to zarur karte hain aur karna bhi chahiye lekin maa baap ke hukuk ka zikr kyu nahi hota.
Jo shaks apne maa baap ka na hosaka woh allah wala banna chahta hai. Aur who roshan zameer jisne maa baap ke hukuk bataye uske ilm par ungli uthai ja rahi hai...... sharm ki baat hai
Paagal, majnoon, ahmak,bad deen hogaya hain aur isse bada jurm aur kya hoga k apne hi nabi par ilzaamaat lagaya jayen.
Yakeenan saari duniya me jo aag lagi huee hai woh in bad deen logo ki lagayi huee hai…
Lekin hamein huzoor ki us hadees e paak ka posheeda pehlu dekhna hai aur insha allah hum zarur dekhenge…….
Friday, April 25, 2008
MOTHER(POST-2)
saari khubiya allah ke liye jo saare jahan ka paalne wala hai
saari khubiya ,saari khushkhabriya,saare fayede,saari baharien,saari kibriyaee,saari ibadatain sab us ek ALLAH se wabasta hain jo saare jahan ka palne wala hai.....
hum saare jahan ko kya paalenge......
hum kamzor makhlook apne pados ko nahi paalsakte aur phir apne ghar waalo ko nahi paalsakte hadh yeh k apne pet ko nahi paalsakte kya kisi ko paalsakte hain ..... phir tu hi hai mere ALLAH jo saare jahan ko paalta aur sab ki parwarish karta hai.....
Istarah se hum har namaz me apne rab ko yaad karte hain......
lekin gaur ki jagah yaha yeh hai ke Quraan e azeem ki haasil e sooreh meri muraad sooreh FATEHA me sab se pehle rububiyat ki sifat ka izhaar hua
kabhi samjha hai aapne is sooreh ko.....agar samjhe nahi ho to amal kab karoge.... aur nahi samajhne ka natija yeh hai k kuch log is sooreh ke padhne ko bid-at kehne lage hain....
aur agar yeh kisi anaaj par padhi jaaye to woh us annaj ko haram karar dete hain....
Iska matlab ke hum musalmaan ke ghar paida hue lekin theek theek musalmaan na bansake.....
khair main to yeh arz kar raha tha ki sifat e rab pehle phir rehman ,rahim aur bahot si.....
lekin rububiyat ka elaan pehle kyu hua...... aur iska kya ta-alluk hai mere TITLE se... kaise maa ki azmat is sooreh se zaahir hoti hai.....
aap zarur padhenge.......
Friday, April 18, 2008
MOTHER(POST-1)
Prophet mohammed (peace be upon him) said about mothers
which means that
MAA KE KADMO KE NEECHE JANNAT HOTI HAI......
First of all we have to understand the meaning of these great words
hum hamesha wohi dekhte hai aur samajhte hai jo hamain zaahiri tor par nazar aata hai
lekin huzoor ka har farmaan e aalishan apne aap me ek maana khezi rakhta hai...
haqiqat me ambia ki har nakl o harkat allah ta-aala ki jaanib se hoti hai.....jab tak kudrat ki jaanib se ishara nahi hota uswakt tak ambia na kuch karte hai aur na kuch kehte hain....
remember.....ambia ka har amal kudrat ke ishare par hota hai.....
isilye kaha jaata hai ke ambia ke hawale se kuch bhi kehna hai to soch samajh ke kehna chahiye....
yahi woh baargaah hai jaha se shaitaan ne thokar khaaee thi....
main arz yeh kar raha tha k huzoor ki har ada me unke har farmaan me maana khezi hoti hai
kyunki woh kudrat ke ishare par hota hai....
is hadees e paak ka mafhoom zaahiri tor se tamaam aulaad ke liye hai
huzoor nasihat kar rahe hai k maa ki azmat ko pehchano
uski kadr o izzat karo
uski farma bardaari me zindagi guzaaro
aur uske kadmo me raho sar par mat baitho kyunke kadmo me jannat hai sar pe nahi
aur huzoor ne hamesha se inkesari ki taakeed ki.... yaha bhi nasihat me inkesaari hi hai
Saturday, August 25, 2007
Takhleek e insaan
Male and female (Nar aur maa-dda)
Nabaataat ho haiwaanaat ho ya phir hazrat e insaan hi kyu na ho.
Aadam alaihis-salaam ke liye hazrat e hawwa ki behtareen jodi .....
Aadmi ki har zaroorat ki ashya usse pehle bani
Zameen , aasmaan , darakht , patthar , phal , paani , ...... mukhtasar ki har shaiye insaan se pehle banai gayi kyunke insaan ki zarooratain in sab ashya se hai.
Hazrat Aadam ko banaya gaya aur phir unse hazrat e hawwa ko
Fikr is baat par hue k Male pehle aur Female aakhir me.... kyu?????
kudrat ne zaahir kardiya k aurat ki zaroorat hi nahi hai agar unke liye koi Nar na ho
aur Nar se maa-dda banaya taake aurto ko unki asl ka pata chale
Woh hamesha maa ka darja to paasakti hai lekin darjaat me baap nahi ban sakti.
Zamaan e haal ki aurtain apne aap ko mard k barabar aur unse zyada darje ka samajhti hain .... unhe Hazrat e hawwa ke wajood se sabak lena chahiye k beshak woh hamaari maa hain lekin darjaat Hazrat e Aadam se unhe mila hai......
Ladies first nahi hosakti agar hoti to Hazrat e hawwa ka wajood bhi pehle hota phir Hazrat aadam ka !!!!!
Lekin kudrat ne zehen diya k hargiz aisa nahi hosakta k aurtain mardo se aage rahe
Aurat ek arabic lafz hai jiska matlab chupi hue ya chupaane ki jagah
isiliye mardo me bhi chupaane ki jagah ko aurat kaha jaata hai (Naaf se ghutno tak)
Aur chupaane waali ashya ko aap hifaazat se rakhte ho usko zaahir hone nahi dete. (e.g. gold)
usi tarah aurte ek keemti zewar hain jise kudrat ne anmol banaya ....
unhe hifaazat se rakho
Mard ki takhleek pehle isi liye hue k woh muhaafiz hoga .....
mardonko aurtoki hifaazat ka zimma diya gaya
plz understand Nizaam e Kudrat
Wednesday, August 8, 2007
ZUBAIDA KHAATOON
Main ek aisi khatoon ka zikr karne ja raha hu jo ab is duniya se apna rakht e safar baandh chuki hai aur apne safar me aage badhgayi
Duniya ki dushwaariyo se guzar kar ab kabr ke taarikiyo me apne safar ka aagaz karchuki
Sach poocho to hum azl se safar karte chale aarahe hain aur yeh safar hum karte rahenge yaha tak ki jannat ya dozakh tak na pahoch jayen
Jannat se safar ka aagaz kiya aur mukammal bhi wahi karna hai lekin kufr o shirk se paak rehte hue warna manzil dozakh hojayegi.
Baat taweel hojayegi gar rukh manzil e maqsood ki jaanib moda.
Main arz yeh kar raha tha k meri Nani ka intekaal hogaya hai
Woh Mazhab e Nasraan(CHRSTN) se ta-alluk rakhti thi
Mere Nana se Shaadi(Lov Marrg) hui Musalmaan hona pada.
Dil ki gehraai tak to nahi pahonch saka k deen se kitni mohabbat thi
Lekin Islaam se kareeb hote hi woh tor tarike jisme se ur-aaniyat ki bu aati thi use apne se alag thalag kiya.
Woh oodhne ka ehtamam karti thi goya Musalmaan khaandaan ki parwarda ho
Har Baalig shakhs se mulaakat k wakt chahe mehram ho ya na mehram apne aap ko sameth leti aur khoob dhak leti
Umuman aurte cut slvs ya half slvs tak pehanti hain lekin Nani hamesha full slvs hi istemaal karti thi
Aur Marte dam tak woh libaas oodha k aaj ki shayad hi kisi khatoon ne apne ko itna dhaka ho.
Phir kudrat ne bhi unhe aisa chupaya k maut k baad kabr tak unke jism ka koi hissa zaahir na hosaka.
Aur kudrat jise posheeda rakhna chahe to banda kya use apni maathe ki nigaaho se dekhsakega !!!!! main barabar maujood tha tadfeen k wakt.
Aurat ka matlab chupi hui ya chupane wali shaye
Nani ne iska saboot dediya k woh kuch nahi to ek aurat zaroor hai
Namaaz Roza Zakaat to hamesha se maamool me raha Lekin akheer wakt me HAJ se bhi sarfarazi haasil ki.
Khuddar shakhsiyat thi, apne paas se logo ko takseem karti rahi... kabhi kisi k aage daman nahi phelaya
Apne tadfeen ke ikhraajaat tak meri waalida ko kuch dino pehle dediye.
Maine aisi khoobiya aaj ke zamaane me kisi aurat me nahi dekhi
Allah meri naani ko karwat karwat aaram de
Ae allah ..... usne apna rukh teri jaanib kar diya tu bhi apni khaas rehmato ka rukh uski aur humsabki jaanib mod de
Usne kaafi had tak parde ka ehtamaam kiya tu uske aur hum sabke gunaaho par apni khaas rehmat ka parda daal de
Aur hum sabko Aakhirat me apni Khaas rehmat ke saaye me jagah ata farma.
AAMEEN..........