Allah ki safat e rab ka bayan awwal hona yeh sabit karta hai k ik bahot badi zimmedaari ka kaam parwarish karna hai aur yahi se zehen mila k paalnewaala bahot si taarifo ka haqdaar bhi hota hai.
Yaha is jaha me bhi parwarish ka kaam Allah hi kar raha hai lekin zariya bane waaldain.
Sabab waali is duniya me maa baap ko yeh azeem kaam diya gaya lihaza unke darjaat bhi bahot buland hain
Allah quraan me jagah jagah apne zikr o shukr ke saath waaldain ka zikr o shukr kar raha hai. Yeh pehli aayat ka aalam hai to puri sooreh fatiha ki kya baat hogi.
Agar koi namaz padhta hai aur apne waaldain ka shukr nahi karta to woh sab kuch kar raha hai lekin namaaz ada nahi kar raha hai. Uski namaaz uske muh par maar di jayega.
Janab namaaz aap k fayede k liye hai allah tumhara aur tumhari namaaz ka mohtaaj nahi.
Phir chaliye huzoor k kadmo me…..
Huzoor ne jannat ko maa k kadmo k saath kardiya aur walid ko jannat ki chaokhat bataya
Jo inke kadam se duur hua woh jannat se duur hua
Dono bahot bade darje par hote hain itne k agar yeh naaraaz hojayen to aulaad ko kisi karwat aaraam nahi milsakta phir koi peer o mashaikh ki taweez o duaa unhe fayeda nahi pohcha sakti. Aap namaaz o roza ,musalle o miswaak ka zikr to zarur karte hain aur karna bhi chahiye lekin maa baap ke hukuk ka zikr kyu nahi hota.
Jo shaks apne maa baap ka na hosaka woh allah wala banna chahta hai. Aur who roshan zameer jisne maa baap ke hukuk bataye uske ilm par ungli uthai ja rahi hai...... sharm ki baat hai
Paagal, majnoon, ahmak,bad deen hogaya hain aur isse bada jurm aur kya hoga k apne hi nabi par ilzaamaat lagaya jayen.
Yakeenan saari duniya me jo aag lagi huee hai woh in bad deen logo ki lagayi huee hai…
Lekin hamein huzoor ki us hadees e paak ka posheeda pehlu dekhna hai aur insha allah hum zarur dekhenge…….
Thursday, May 8, 2008
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
2 comments:
Agar koi namaz padhta hai aur apne waaldain ka shukr nahi karta to woh sab kuch kar raha hai lekin namaaz ada nahi kar raha hai. Uski namaaz uske muh par maar di jayega
can u plz explain this statement....where does this cme from that if i dont pray for my mother in a namaaz my namaaz wont be accepted...is it in the 7 zarrori things for namaaz ka kabool hona....jaise jagah ka paak hona...kible ki taraf mooh karna...waqt par padhna....now u have added another one in it...walidaan keliye dua karna...nahi to namaaz nahi hogi...how can u come up with something like this??abe dargah...saale...tune to 8 cheezen zaroori kardi...nahi to namaaz mooh par maari jayegi...
u know Islam is very simple to follow but u people put in so many connections in it that it becomes complicated.
matlab ab tak jo namaaz maine padhi agar maine apne parents ke liye dua na ki to wo qaboool nahi????how can u come up with such a statment...such a strong statement.and then u call me bidaati...jab ke bidaa mein tu aur tere log pade hai!!!
salaam
main tujhe itna bewakuf nahi samajhta tha jitna tu hai....
duniya k kaam tujhe jaldi se samajh me aajate hain.... yahin deen me aakar thokar kyu khaa raha hai.........
aap ne abhi islaam ko nahi samjha
main yeh 100% sure keh sakta hu k abhi tak aap ko namaaz kya hai yeh nahi samajh me aaya
pehle bhi bata chuka k namaaz insaan ki zarurat k liye banaee gayi
allah hamari ibaadat ka mohtaaj nahi
aur jin 7 farayez ki aap baat kar rahe ho
agar main yeh kahu k woh bhi aap ko samajhme nahi aaya......... to koi galat nahi
na main kisi ko bid ati kehta hu aur na kahunga kyun k yeh mera kaam nahi.....
yeh bilkul sacchi baat hai aur khud huzoor ka farmaan hai k deen bahot aasaan hai
to phir saara jaha kyu musalmaan nahi hojata.....
wajah yahi hai k yeh duniya imtehaan gaah hai
isliye jo islaam ki taraf apna kadam badhaega use hi imaan nasib hoga
aur kya tu nabi hai kya jo tujhe farishtey wahi sunaney aayenge
abhi peero tale ki duniya nahi samajh me aarahi hai aur deen ki baat karta hai
aaj deen ko itna chupaya jaa raha hai k uski asl soorat aap nahi dekhsakte
jo baat aap ke samajh me na aaye zaruri nahi k deen me nahi
aap koi tees maar khan nahi ho janab....
aap ki tarah zakir nayak bhi aaya tha ..... muh ki khaiee k nahi
aaj khud uske students usse duur horahe hain
huzoor gaus e paak ka woh mafhoom mujhe yaad aaraha hai
JISKA PEER KOI NAHI USKA PEER SHAITAAN HOTA HAI
sarparst talaash karo .... koi aalim ka daman pakdo.... saccho k saath hojaoo
insha allah tumhe mujhe aur saari duniya ko deen samajh me aajaye ga
sirf itna samajh lo k direct na kisi ko khuda mila hai na milega...........
yeh duniya sabab ki jagah hai......... yaha waseela zaruri hai warna anjaam khatrnaak hoga
Post a Comment