Saturday, May 10, 2008
MOTHER(POST-4)
Aap ko maaloom hona chahiye k huzoor ka farmaan allah ka farmaan hota hai yaha tak k woh saans bhi nahi lete jab tak kudrat ki jaanib se ishara naho
Ab farmaan par gaur kijiye k MAA k kadmo se jannat ka ta-aaluk bataya.
Ab sawaal yeh bana k kya har MAA is layak hai k us k kadmo me jannat….?????
Ab yaha deedawar log nazar saani karne lage aur badi jaddo jehed k baad pata chala k huzoor ne apne kaul me baccho k saath MAA ko bhi nasihat ki hai…… jo posheeda hai
Jo khud MAA nahi jaanti hai isiliye hamesha baccho se yeh zarur kehti hai k baccho meri baat maano warna kahi k nahi rahoge kyunke MAA k kadmo se jannat bandhi huee hai
Lekin agar use is baat ka ilm hojaye k jis zimmedaari k saath huzoor ne farmaya hai woh kya mere layak bhi hai to woh saans bhi nahi legi
Kitni ahem zimmedaari hai parwarish karna agar kisi MAA ko pata chaljaye to woh hasna bhool jaaye…..
Kya saari khubiyaa yunhi parwarish karne waale k hawalae kar di gayi
Kya yunhi is sifat ko sooreh fatiha me bayaan kiya gaya
Agar aulaad naa farmaan nikli to kya MAA iski zimmedaar nahi
Agar MAA ko azeem darje par faayiz kiya gaya hai to kya uski zimmedaari choti si hogi
Baccho ko paida karke use khilana pilana uski hifazat karna yeh to ek jaanwar bhi jaanta hai
phir insaan hokar MAA itne par apna daaman kyu sameth leti hai
Illa masha allah
lekin hain agar kam hain jo is mansab par faayiz hain k unhe jannati kaqha jaye
main to zyada tar logo ki baat kar raha hu jinhe dekh kar mujhe aisa mehsoos hota hi nahi k yeh MAA k rutbe par faayiz hain
MAA ko chahiya k woh apne bacche ko apne doodh k saath ilm bhi pilade
Aur bacchpan hi se use ilm e deen sikhaye
Kuch MAA hain jinki aulaad wilaayat k darje par pahonch gayi
Ab hum uspar nazar daalenge aur apne mazmoon ko sameth lenge warna ispar barso guftugu ki jaaye to kam hai.....
Thursday, May 8, 2008
MOTHER(POST 3)
Yaha is jaha me bhi parwarish ka kaam Allah hi kar raha hai lekin zariya bane waaldain.
Sabab waali is duniya me maa baap ko yeh azeem kaam diya gaya lihaza unke darjaat bhi bahot buland hain
Allah quraan me jagah jagah apne zikr o shukr ke saath waaldain ka zikr o shukr kar raha hai. Yeh pehli aayat ka aalam hai to puri sooreh fatiha ki kya baat hogi.
Agar koi namaz padhta hai aur apne waaldain ka shukr nahi karta to woh sab kuch kar raha hai lekin namaaz ada nahi kar raha hai. Uski namaaz uske muh par maar di jayega.
Janab namaaz aap k fayede k liye hai allah tumhara aur tumhari namaaz ka mohtaaj nahi.
Phir chaliye huzoor k kadmo me…..
Huzoor ne jannat ko maa k kadmo k saath kardiya aur walid ko jannat ki chaokhat bataya
Jo inke kadam se duur hua woh jannat se duur hua
Dono bahot bade darje par hote hain itne k agar yeh naaraaz hojayen to aulaad ko kisi karwat aaraam nahi milsakta phir koi peer o mashaikh ki taweez o duaa unhe fayeda nahi pohcha sakti. Aap namaaz o roza ,musalle o miswaak ka zikr to zarur karte hain aur karna bhi chahiye lekin maa baap ke hukuk ka zikr kyu nahi hota.
Jo shaks apne maa baap ka na hosaka woh allah wala banna chahta hai. Aur who roshan zameer jisne maa baap ke hukuk bataye uske ilm par ungli uthai ja rahi hai...... sharm ki baat hai
Paagal, majnoon, ahmak,bad deen hogaya hain aur isse bada jurm aur kya hoga k apne hi nabi par ilzaamaat lagaya jayen.
Yakeenan saari duniya me jo aag lagi huee hai woh in bad deen logo ki lagayi huee hai…
Lekin hamein huzoor ki us hadees e paak ka posheeda pehlu dekhna hai aur insha allah hum zarur dekhenge…….
Friday, April 25, 2008
MOTHER(POST-2)
saari khubiya allah ke liye jo saare jahan ka paalne wala hai
saari khubiya ,saari khushkhabriya,saare fayede,saari baharien,saari kibriyaee,saari ibadatain sab us ek ALLAH se wabasta hain jo saare jahan ka palne wala hai.....
hum saare jahan ko kya paalenge......
hum kamzor makhlook apne pados ko nahi paalsakte aur phir apne ghar waalo ko nahi paalsakte hadh yeh k apne pet ko nahi paalsakte kya kisi ko paalsakte hain ..... phir tu hi hai mere ALLAH jo saare jahan ko paalta aur sab ki parwarish karta hai.....
Istarah se hum har namaz me apne rab ko yaad karte hain......
lekin gaur ki jagah yaha yeh hai ke Quraan e azeem ki haasil e sooreh meri muraad sooreh FATEHA me sab se pehle rububiyat ki sifat ka izhaar hua
kabhi samjha hai aapne is sooreh ko.....agar samjhe nahi ho to amal kab karoge.... aur nahi samajhne ka natija yeh hai k kuch log is sooreh ke padhne ko bid-at kehne lage hain....
aur agar yeh kisi anaaj par padhi jaaye to woh us annaj ko haram karar dete hain....
Iska matlab ke hum musalmaan ke ghar paida hue lekin theek theek musalmaan na bansake.....
khair main to yeh arz kar raha tha ki sifat e rab pehle phir rehman ,rahim aur bahot si.....
lekin rububiyat ka elaan pehle kyu hua...... aur iska kya ta-alluk hai mere TITLE se... kaise maa ki azmat is sooreh se zaahir hoti hai.....
aap zarur padhenge.......
Friday, April 18, 2008
MOTHER(POST-1)
Prophet mohammed (peace be upon him) said about mothers
which means that
MAA KE KADMO KE NEECHE JANNAT HOTI HAI......
First of all we have to understand the meaning of these great words
hum hamesha wohi dekhte hai aur samajhte hai jo hamain zaahiri tor par nazar aata hai
lekin huzoor ka har farmaan e aalishan apne aap me ek maana khezi rakhta hai...
haqiqat me ambia ki har nakl o harkat allah ta-aala ki jaanib se hoti hai.....jab tak kudrat ki jaanib se ishara nahi hota uswakt tak ambia na kuch karte hai aur na kuch kehte hain....
remember.....ambia ka har amal kudrat ke ishare par hota hai.....
isilye kaha jaata hai ke ambia ke hawale se kuch bhi kehna hai to soch samajh ke kehna chahiye....
yahi woh baargaah hai jaha se shaitaan ne thokar khaaee thi....
main arz yeh kar raha tha k huzoor ki har ada me unke har farmaan me maana khezi hoti hai
kyunki woh kudrat ke ishare par hota hai....
is hadees e paak ka mafhoom zaahiri tor se tamaam aulaad ke liye hai
huzoor nasihat kar rahe hai k maa ki azmat ko pehchano
uski kadr o izzat karo
uski farma bardaari me zindagi guzaaro
aur uske kadmo me raho sar par mat baitho kyunke kadmo me jannat hai sar pe nahi
aur huzoor ne hamesha se inkesari ki taakeed ki.... yaha bhi nasihat me inkesaari hi hai